Jab aapke documents ka verification kaamyaab nahin rahta hai, to unhen ye status assign kiye jaa sakte hain:
- Dobara koshish karen.
- Decline kar diya gaya.
Agar aap “Try again ya Dobara koshish karen ” status dekhte hain, to ye pata karne ke liye ki aapka document kyon reject huaa hai, in steps ko follow karen:
1. Verification page par “Try again” click karen.
2. Jis document ko reject kiya gaya hoga wo aapko lal rang me dikhega. Usko delete karke doobara sahi document upload karein. Uske baad "Continue" pe click karein.
Note karen. Aamtaur par, documents ko isliye reject kiya jaata hai kyonki voh sabhi zarooraton ko poora nahin karte hain. Dobara upload karne se pahle, pakka karen ki aap jo photo bhej rahe hain, vo bright aur saaf hai, document ke sabhi corners dikh rahe hain, aur aapka poora naam, number, aur date padhne mein aasaan hain.
Agar kisi ek document ka status “Declined” hai, to iska matlab hai ki system ise theek se nahin padh paaya hai.
Is problem ko theek karne ke liye, in steps ko follow karen:
1) Decline kiye gaye document ko click karen aur “Contact Support” button par click karen.
2) Aapko email client par le jaaya jaayega. Draft mein issue describe ki gayi hogi. Email bhejen, aur hamaari support team problem ko duur karne mein aapki madad karegi.
Agar aapke koi savaal hain, to Verification kaise paas karen? article padhen ya madad ke liye support team se contact karen.