In 4 steps ko follow karen:
1. Web-version mein: Screen ke top right corner mein apni profile picture par click karen aur phir menu se “Cashier” tab select karen.
Phir “Withdraw funds” tab par click karen.
Mobile app mein: Left side ki menu kholen, “Balance” section select karen aur phir “Withdraw” button tap karen.
Naye Android app version mein: Platform ke nichle hisse mein "Profile" icon par tap karen. "Balance" tab par tap karen aur phir "Withdrawal" par tap karen.
2. Payout amount enter karen aur apna withdrawal method select karen. Baaqi fields bharen. “Request withdrawal” par click karen.
3. Iske baad aapki withdrawal request ko check kiya jaaiga. Is dauraan aap apne withdrawal request ko cancel bhi kar sakte hain. Jab tak request check ho raha hai, aap trading bhi kar sakte hain.
4. Aap apne withdrawals ka status “Cashier” section “Transaction history” tab mein track kar sakte hain (mobile app users ke liye “Balance” section).
Note karen. Payment providers ko aapke bank account me funds credit karne me aam taur par 1 se 3 business days ka time lagta hai. Kam cases me ye period 7 business days tak chal sakta hai national holidays, aapki bank ki policy, vagairah ke kaaran.
Agar aap 7 dinon se zyaada intazaar kar rahe hain, to support@binomo.com par email karen. Ham aapke withdrawal ko track karenge.